How to block youtube notification mails ?


Youtube notification mails ko block kese karen ? Friends ager aap ek youtuber hain ya aapne youtube par bohat saare channels ko subscribe kar rakha hai to aap youtube se aane wale mails se zarur preshan rehte honge.


Kiunki jab hum youtube par bohat sare channels ko subscribe kar lete hain to uske baad jab humare waja se subscribe kiye gaye channel par koi video upload kiya jata hai to youtube humen uska notification email send krta hai, jinse se humara mail box full ho jata hai aur humen daily un mails ko delete karna perta hai.


Iske alawa ager aap ek youtuber hain tab to aapko youtube ki traf se aur bhi zyada mails aate hongen. Kiunki youtube par jab bhi humare channel ko koi subscribe karta hai ya humare kisi video par comment karta hai ya humare kisi comment ka reply karta hai to uska notification bhi youtube humen email ke zarye send karta hai.


Ish liye total aise sabhi youtubers ya youtube viewers jinke pass youtube daily notification mails send karta hai wo sabhi in mails se pareshan rehte hain aur is liye wo in youtube notification mails ko block karne ke baare me sochte hain.


Youtube Notification Mails Ko Kese Block Karen


But bahut se logo ko ye pata nahin hota hai ki youtube notification mails , subscribers mails ya comment mails ko kaise block karte hain ? Is liye wo aisa nahi kar pate hai.


Ager apko bhi nahin pata ki youtube se aane wale mails ko block kese karte hain to ye article aapke liye hi likha gaya hai. Kiunki aaj is article me hum aapko is ke bare main btane wale hain. Is liye ishe last tak zarur padheen.


Ye Bhi Parheen...


Youtube notification mails ko kese block karen ?


1. Iske liye sabe pahle aapko yajhan click karke youtube notification settings page par jana hota hai.


2. Ager aapne browser me youtube site par apne account ko sign in nahi kar rakha hoga to pahle aapko apni gmail id aur password dal kar sign karna hai, aur ager aapne phale se hi sign in kar rakha hoga to aapke samne aisa page open ho jayega.


Youtube Notification Mails Ko Kese Block Karen


To yahaan se aap youtube se aane wale subhi mails ko apne hisaab se control kar sakte hain. Ager aapko youtube se aane wale subhi type ke mails ko block karna hai to iske liye aapko is page me subse niche jana hai. Wahan aapko turn off all emails ka option milega, us par click kar den. Uske baad aap ki email id per youtube ki taraf se anee wale subhi treiqe ke mails band ho jayegen, aur aapko kabhi bhi youtube ki taraf se koi bhi mail problam nahin hoga.


But ager aap sirf kuch particular type ke mails ko hi block karna chahte hain to iske liye aapko subhi mails ko off nahi karna hai, balke is page me aapko alag alag categories ke mails mil jayengee jinhe aap apni zarurat ke hisaab se on ya off kar sakte hain.


Ager aap chahte hain ki youtube par aapne jin channels ko subscribe kar rakha hai, jab wo koi video upload karen to uska push notification aapko mile but uska mail aapke email address par na aaye to iske liye aapko youtube notification settings page par jane ke baad mobile ke browser main site ka desktop mode enable karna hai.


Ager aapko browser main site ka desktop mode enable karna nahi aata hai to yahaan click karke aap iske bare main jan sakte hain.


To site ka desktop mode enable karne ke baad aapke samne esaa page open ho jayega.


Youtube Notification Mails Ko Kese Block Karen


Yahaan aapko subse phale 'only send me required services announcement emails' wale option ko select karna hai. Uske baad 'subscription notify me via' wale ke samne wale button par click karna hai aur 

only push select karna hai. Bas uske baad ye setting save ho jayega, aur is ke baad jab bhi aapke subscriptions koi video upload krengen to aapko uska sirf push notification milega.


Ok to is trike se aap youtube se aane wale notification mails block kar sakte hain. Ager aapko ish process me koi problem aaye ya aapka youtube se related other ko question ho to aap comment karke poch sakte hain.


Ye Bhi Parheen...


To friends I hope ki youtube notification mails ko kese block karte hai ? Ye article aapko zarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye malomat achhi lgi ho to isse apne dosto ke sath bhi zarur share karen.

Post a Comment

Link Shering Not Allow

Previous Post Next Post