Best mics for youtube, under rs.200
Friends ager aap ek youtuber hain ya other kisi platform par apne khud ke video bana kar upload karte hain ? To aap ye jarur jante honge ki hum jo video banate hain, wo chahe kitna bhi unique aur knowledgeable ho, but ager uski voice clear nahi hai to viewers usse ziyada pasand nahi karte hain.
Video me clear voice record karne ke liye humen kisi achhe microphone ko use karna parta hai. Par kisi bhi new youtuber ke liye ek achha aur best mic purchase krna aasan nahin hota hai. Is liye wo chahte howe bhi apne video me achhi voice record nahin kar pate hain.
Ish liye is baat ko dihyan me rakhte howe aaj is article me hum aapko youtube video record karne ke liye Top 3 Cheapest Microphones ke bare me batayenge, jinki price rs 200 se bhi kam hai. But video record karte samay ye aapki voice ko kafi clearly record karenge.
Ager aap ek new youtuber hain ? To yakin maniye friends ye microphones aapke liye sabse best rhenge. Apne youtube ke starting videos me mai bhi inhi microphones ko use karta tha.
In microphones ke bare me batane se pahle mai aapse kehna chahunga ki ye teeno hi microphone bohat achhe hain. Is liye aap inme se kisi bhi mic ko buy kar sakte hain.
Cheapest price best microphones under rs 200
1. Generic microphone
Friends ager aap ek new youtuber hain ? Aur Cheapest price me sabse best microphone search kar rahe hain ? To ye mic aapke liye sabse best rhega. Me khud bhi ish microphone ko use kar chuka hu. Ish liye mai aapko bhi ishi mic ko purchase karne ki advice dunga.
Generic microphone ko aap android phone, I phone, pc me use kar sakte hain. Amazon par abhi iski price rs.154 hai. But iski price change hoti rhti hain. Generic mic ko abhi amazon se purchase krne ke liye yahan click kare.
Ish mic ko use karne se pahle ek baat ka dihyan rakhe, ki ye mic ziyadater phones ke system camera app ke sath achhe se work nahi karta hai. Ish liye ager aapke mobile me bhi ye achhe se kaam na kare, to play store se koi dusri camera app download kar le. Me apni btau to mai open camera app use krta tha. Open camera app abhi download krne ke liye yahan click karen.
2. Rewy brobeat microphone
Ye mic bhi bohat achha hai. Mene khud ish mic ko kabhi use nahi kiya hai. But internet par mene iske reviews check kiye hai, jo ki bahut hi achhe hai. Amazon par iski rating generic microphone se bhi achhi hai. Is liye aap ish mic ko bhi apne phone ya pc ke liye use kar sakte hain.
Amazon par abhi rewy brobeat microphone ki price rs.199 hain, jo baad me change bhi sakti hain. Aap abhi niche click karke rewy brobeat microphone ko amazon se buy kar sakte hain.
3. SRK L13 microphone
Top 3 cheapest price ke best microphones ki list main ye mic sabse niche aata hai. But aap is quality ko kam na smjhe, kiun ki amazon par iski rating generic mic se bhi achhi hai. Mere ek youtuber dost bhi is mic ko use karte hai, unhone bhi mujhe iske bare me positive review diya hai.
Ish liye cheapest price me ye mic bhi aapke liye kaafi achha option sabit ho sakta hai. Amazon par abhi SRK L13 microphone ki price rs. 220 hain. Niche click karke aap abhi is mic ko buy kar sakte hain.
Friends aap apne mobile aur computer me audacity software aur application ko use karke apne video ki voice ko aur bhi clear bana sakte hain. Is liye ager ho sake to audacity app ko bhi zarur use kare. Sath hi ager ye mic aapke mobile ke system camera app ke sath achhe se kaam na kare to open camera app ko use karen.
To friends youtube ke liye kam kimat ke ye hi sub se best microphones hai. I hope ki ye malomaat aapko pasand aayi hogi. Ager aapko ye malomat achhi lgi ho to issee apne baki youtuber dosto ke sath bhi zarur share karen.
Post a Comment
Link Shering Not Allow