Dostoo aaj kal india main youtube ka istemaal kuch zyada hi hone lag gaya hai. Kiun ke jab se jio market main aaya hai, tab se internet packs kuch zyada hi saste ho gaye hain. Is liye jab bhi humare pass free time hota hai to hum youtube videos ko dekh dekh kar hi time pass karte hai.


Lekin waise bhi aaj kal youtube par daily itne videos upload hoone lag gaye hain ke humen is par sabhi categories ke main videos mil jati hain, jese tech, eduaction, entertainment, health, fitness etc. Is liye jab bhi humen in se related koi information chahiye hoti hai to humen youtube par us topic se related hazaro videos mil jati hain.


Ab ye to hum sabhi jante hain ke youtube ek aesi website ya application hai, jis par hum her tariqe ke videos dekh sakte hain. But kiya aapko pata hai ke hum youtube par message bhi send kar sakte hain.


Ji haan aapne sahi parha, hum facebook, whatsapp aur baaki social sites ki tarah youtube par bhi apne friends ya kisi bhi channel ke owner ko message send kar sakte hain.


Youtube Par Message Send Kaise Kare


Lekin youtube ke is feature ke bare main bohat hi kam loog jante hain. Is liye bohat hi kam log youtube ke is feature ko use karte hai isi liye ye art-cal likha hai.


Lekin ager aap youtube ke is feature ko use karna chahte hain, aur youtube par kisi bhi channel ke owner ko personally message send karna chahte hain, to ye post aap ke liye bohat hi helpful hone wali hai. Kiun ke aaj is post me hum aapko is hi ke bare main batane wale hain.


To chliye abhi zyada time waste na karte howe hum aapko is ke bare main bata dete hain. To dekhiye friends youtube par kisi bhi Member ya kisi bhi youtubes channel ko personally message send karne se pehle aap ko us member se youtube par friendship karni perti he jese facebook ya dori social network pe karte hain.


Youtube par kisi bhi person ya channel se friend ship karne ke liye sub se pahle aap ko us person ko youtube par friend request send karni hogi, jab wo saamne wala person aap ki friend request accept kar lega, to uske baad aap us person ya us channel ko youtube par message send kar sakte hain.


Youtube per kisi bhi channel yaa kisi bhi Member ko friend request kese send karte hain ? Iske bare main janne ke liye niche wale steps follow karen.


Youtube par message send kaise karen


Number 1. Is ke liye subse pehle aap ko apne android mobile main youtube application ko update karna hoga. Youtube application ko abhi update karne ke liye yahan click karen.


Number 2. Us ke baad ager aapne youtube application main sign nahin kar rakha ho to pehle sign kar len. Uske baad youtube application ka home page is tarah se open ho jayega.


Youtube Par Message Send Kaise Kare

Yahan aap ko Inbox button par click karna hai.


Number 3. Us ke baad aesa page open ho jayega.


Youtube Par Message Send Kaise Kare

Yahan aap ko Add friends button par click karna hai, uske baad next page main phir se Add friends button par click kar den.


Number 4. Us ke baad aesa page open ho jayega.

Youtube Par Message Send Kaise Kare


Yahan aap ko aap ki profile ka link mil jayega, aap us link par click kar ke usse copy kar len aur us person ko send kar den, jis se aap friendship karna chahte hain. Ager aap chahen to Send invitation par click kar ke direct yahin se us person ko text message, whatsapp, facebook ya other kisi tariqe se aap ki profile ka link send kar sakte hain.


To jub samnee wala person us link par click kar ke aap ki friend request ko accept kar lega, to uske bad aap youtube appilication main jaa kar phir se Inbox button par click karke us person ko message send kar sakte hain.


To is tarike se aap youtube par kisi bhi channel ko message send kar sakte hain. Ager aap ko is process main koi problem aayen to aap comment kar ke puchh sakte hain.


To dosto umeed kartaa hun ki ye post aap ko zarur pasand aayi hogi ager aap ko ye tips achhi lgi to isse apne dosto ke saath bhi share karen.

Post a Comment

Link Shering Not Allow

Previous Post Next Post